बुधवार, 18 मई 2016

Blogspot.com par free blog banane ke bad new blogger ko kya kya karne ki jarurat hoti hai. aaj mai aapko isi ke bare me guide karunga. kuch logo ko ye problem hoti hai. wo blog to bana lete hai. magar aage kya karna hai iske bare me unhe kuch bhi pata nahi hota. so unhe iske liye ek perfect guide chahiye.
New blog banane ke bad kya kare full guide
Actually mai is site par aysi hi jankari share karta hu. magar pichle kuch time se mere kuch friends ayse sawal puch rahe hai. mai un sabhi ki problem is post me solve karne ki koshish karunga. new blogger ke liye ye janna jarri hota hai ki use next step kya karna chahiye or kya nahi. jis se wo sahi raste par ja sake.

Blog Banane Ke Bad Kya Kare?

Blog banane ke bad sabse pahla kaam hota blog ko ache se design karna. design audience ki no. 1 pasand hota hai.  bahut se blogger design par dhyan nahi dete or isi issue ki wajah se wo 30% traffic miss kar dete hai. mai aapko yaha kuch tips bta raha hu, jinki help se aap apne blog ka better design kar sakte ho. or aap blogging ki achi starting kar sakte hai.
[alert-note]aage baat karne se pahle mai man leta hu ki aapne blog bana liya hai or usme 10-15 post bhi share kar chuke ho.[/alert-note]

1 – Template

Blog ke liye achi template select karne se pahle ye jaruri hai ki tyemplate kaisi honi chahiye. template seo ready, mobnile rady honi chahiye, jo mobile me bhi achi show hoti ho. so aap temlate choone se pahle ye bate dhyan rakhe.
  1. Mobile Firiendly
  2. SEO friendly
  3. Fast loading
  4. Simple Color
  5. better menu bar
blogger blog ke liye achi template ki websites ke bare me details se janna jaruri hai. Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites par aap SEO ready and mobile ready template download kar sakte ho.

2 – Widget

blog ke liye template select karne ke bad usme kch important widget add karna jaruri hota hai. jaise populer post, recent post, facebook page, recent comment, category etc.

3 – Menu bar

blog banane ke bad usme menu bar set karn baht jaruri hota hai. apne blog ki post ke hisab se menu bar me topic select kare. is se visitors ko post padne me aasani hoti hai. wo apni categories ki post aasani se search kar sakta hai.

4 – Search Box

lagbhag har template me search box pahle se hota hai. or agar aapki template me nahi bhi hai to aap alag se search box widget add kar sakte hai.

5 – Extra Feature

blogger blog me kch extra feature hote hai. jo aapke kisi kaam ke nahi hai. jaise powered by blogger, template by, created by, navigation bar etc. actualy aap apne blog ko website ki tarah dekhna chahte hai. so in sabhi features ko remove kare. maine in sab ki jankari site par di huyi hai. aap search box me search kar sakte hai.

6 – Search Engine

jab aapki site completly design ho jaye to site ko search engines se submit kare. jisse aapki site google, bing, yahoo, ask jaise search engine me show ho

7 – Traffic

har blog ke liye traffic bahut jaruri hai.  traffic badhane ke liye aap social network ki help le sakte hai. social media aysa ways hai. jisse 80% audience mil sakte hai.

8 – Adsense Ads

jab aapki site par minimum 500 views per day hone lag jaye to aap adsense account bana sakte ho. or adsense ke ads blog me laga sakte ho. kch log chitika, bidvertiser bhi use karte hai. magar aapko suggest karunga ki chitika ya bidvertiser use na kare. inke ads auto click hote hai. jisse visitors ko problem hoti hai.

9 – Make Money

blog ko design, traffic, search engine,  adsense step se free karne ke bad finaly kaam hai blogging par focus karna. ab ye aap par nirbhar karta hai ki aap kitna best kar pate hai. agar aap ek ache blogger banne ki kabiliyat rakhte hai. to aysa tarika apnaye jo logo ko pasand aaye. apni pasand se ayse topic par kaam kare. jis par aap pri duniya ko manage kar sake. exam ke liye mai blogging par jankari share karta hu. so mere pas blogging ki puri jankari honi chahiye.

10 – Future Time

is site par aapko blogger se related bahut post mil jayegi. or aane wale time me mai or bhi post share karunga. agar aapko meri site se help milti hai to aap humari site ko subscribe kar sakte hai. jis se hum jab bhi new post share kare to aapko notification mil jaye.  agar aap new blogger hai or is post me aapke sawal ka jawab nahi hai to comment ke throw apna sawal puch sakte ho.

Keep Up Blogging With Us


I hope is post se aapko blogging karne me help milegi. aage bhi hum blogging ke bare me bat karte rahenge. to dosto humare sath jude rahe. or apne dosto ko bhi is site par invite kare. kya pata aapke dosto me se kisi ko is jankari ki jarurat ho. jo internt se paise kamana chahata ho. mai aapko sggest karuga ki koi aapse help mange to uski help jarur kare.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें