मंगलवार, 24 मई 2016

Adsense Se payment Kaise le

ello Dosto, Google Adsense ads network me sabse popular network hai iske kai karan hai pahla to ye ki Adsense kamai ke mamle me dusre ads network sabse achha hai aur dusra ki ye professional bhi lagta hai jisse humare site ka look aur bhi achha ho jata hai.
Aap me se bahut se longo ko Adsense ke bare to pata hi hoga par bahut se longo ko is bat ki Confusion hoti hai ki Adsense hume payment kaise karti hai aur suruwat me kya – kya karna hota hai payment lene ke liye. Aaj ki ye Post isi topic par hai.Adsense Payment

Adsense Hume Payment Kaise Karti hai –

Jab aapka Adsense Account Approved ho jata hai to aap Adsense se Earning ke liye Teyar ho jate hai Isse koi fark nahi padta ki aap Adsense me Youtube se kama rahe ho ya apne Website se. Jab apki Earning 10$ ho jati hai Adsense apke diye huve Address pe Verification Pin by Post bhejti hai. Jise apko apne Adsense Account me dal kar Verify karna hota hai. Ek Bar jab apka Address Adsense se Verify ho jata hai to 10$ hone par aap apna Bank Details Adsense me Add kar sakte hai Payment lene ke liye.
Agar apka Bank Account nahi hai to bhi ye apko 100$ hone par apke verify Address par Cheque dwara apko payment kar deti hai.
Aur In Post Ko Bhi Padhe –

Adsense Account Banate Samay Kya – Kya Sawdhani Baratani Chahiye Jisse Payment Lene Me Dikkat Na Ho –

  • Adsense Account banate waqt is bat ka dhyan rakhe ki Payee name sahi – sahi dale kyonki bad me isko change karne me bahut hi dikkat aati hai.
  • Adsense me Account banane ke liye Aapka age 18 hona chahiye kyonki bad me apko apna Address proof bhi Verify karna hota hai.
  • Address sahi – sahi dale kyonki apke address par Verification Pin bheja jata hai jise apko Adsense me dalna padta hai.
  • Apna Payee name vaisa hi dale jaisa apke Bank Passbook me likha ho taki apko Payment apne Bank Account me lene me dikkat na ho.
Dosto aasha karta hu meri ye information apko Adsense se Payment lene me helpful hogi. Apko ye jankari kaisi lagi hume jarur bataye aur humare Facebook Fun Page ko bhi like kare…Dhanywad!

1 टिप्पणी:

  1. नमस्कार
    मैं कंटेंट रइटर हूं. आपका कंटेंट पर करके मुझे बहुत अच्छा लगा. आपके आर्टिकल से प्रेरित होकर ही मैंने अपने वेबसाइट पर संबंधित लेख के लिखा है.
    कृपया आप मेरे पैसा कैसे कमाए वेबसाइट पर भी विजिट कीजिए. अगर आपको मेरे वेबसाइट का आर्टिकल अच्छे लगते हैं तो कमेंट कीजिए.

    धन्यवाद

    जवाब देंहटाएं